Labels

ghazal (1) kavita (1) Poems (1) Shayaries (1)

Saturday, June 19, 2010

Yaadon ka Waaar...

Sau baar likh kar sau baar mitaya..
Har baar dil se un hi ka naam aaya..
Koshish bahut ki k pal bhar ji jau..lekin -
Yaadon k khanjar ko har baar laal paya..

Kabhi tasveero se..kabhi chittho se..
Dil bheega hai ashq ki nadiyon se...
Yaadon ke dariye mein jab khud ko doobta paaya
Num ankhon mein pal-pal ek hi chehra aaya..

Auro pe ilzaam kya..apni aadat kuch aisi hai..
Qatilo se dosti aur dillagi rahi hai..
Kabhi khanjar se dil..kabhi dil se khanjar lagaya..
Katra-katra rooh !!.. har katre se us hi ka naam aaya..

-kshitij

No comments:

Post a Comment