kabhi kaafir ke gum se khud ko bhigoya
fir mann tatola aur khud ko nichoda..
raah..safar aur wo tanha mastana..
befikr wo saath k sparsh se anjaana -
poochne pe - "tanhai mein tu khush kaise..??"
"main tanha kahan--" ..aisa jawab aaya..
yaadon ka bhandaar seene mein liye firta hu
mohabbat jo aai ...to gum saath aaya...
ab kaafir hai kaun..aur kaun "kshitij"...
hansta chehra aur ankhon mein samandar sajaya...
No comments:
Post a Comment